Sunday 31 March 2013

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho
Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain
Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay
Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi
Akela chor jaty ho,
Ye tm acha ni karty
Hmara Dil jalaty ho,
Ye
tm acha ni karty
Kaha bhi tha
Muhabbat ha,
Muhabbat ha,
isay rakho
Tamasha jo banate ho,
Ye
tm acha ni karty
Uthatay ho sar_e_mehfil
Falak tak tm hamain
Lakin
Utha kar jo giraty ho,
Ye
tm acha ni karty
Koi jo pooch le tm se rishta kya hai ab un se?
To nazron ko jhukaty ho,
Ye
tm acha ni karty
Bichar jaen andheron men, sahara tm he dety ho
Mgar phir chor jaty ho,
Ye
tm acha ni karty


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah

Har Ek Zakhm Ka Chehra Gulaab Jesa Hai
Magar Yeh Jaagta Manzar Bhi Khawb Jesa Hai

Yeh Talkh Talkhh Sa Lehja, Yeh Tez Tez Si Baat
Mizaaj-E-Yaar Ka Aalam Sharaab Jesa Hai

Bara Taveel, Neyhayet Haseen, Bohat Mubhim
Mera Sawaal Tumhare Jawaab Jesa Hai

Tu Zindagi Ke Haqaayeq Ki Teh Main Yun Na Utar
Ke Iss Nadi Ka Bahaao Chanaa Jesa Hai

Teri Nazar Hi Nahin Harf Ashnaa Warnaa
Har Ek Chehra Yahan Kitaab Jesa Hai

Chamak Uthey To Samandar, Bujhey To Rait Ke Leher
Mere Khayal Ka Daryaa Saraab Jesa Hai

Tere Qareeb Bhi Reh Kar Na Paa Sakoon Tujh Ko
Tere Khayal Ka Jalwaa Hubaab Jesa Hy

Tum

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum,
Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,
Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,
Kya zaroorat hai mujhe dard ke me’khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,
Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,
Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum,
Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum..


Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,
Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,
Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,
Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….
Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..

Bicharna Hi Muqaddar Ho To Yaaron Ki Tarha Bichro
Milan Ho Phir Kisi Shab Main Sitaron Ki Tarha Bichro

Kabhi Milte Nahi Lekin Sada Chalte Barabar Hain
Jo Ho Mumkin Nadi Ke Do Kinaron Ki Tarha Bichro

Chali Jain Woh Gulshan Se Nishaan Unke Nahi Jaate
Mere Dil Se Mere Humdam Baharon Ki Tarha Bichro

Muhabbat Hai Juda Apni Juda HOna Naye Dhung Se
Zarori To Nahi Tum Bhi Hazaron Ki Tarha Bichro..!!